By Pankaj Chhabra
Main qaidi number 115 engineering college ki salakhon se bahar dekhta hoon,
Kagaz ke tukdon ko degree mein badalta dekhta hoon,
Is mess se mujhe sambhar ki khushbu aati hai
aur har baar mujhe ghar ke khaane ki yaad dilati hai,
Yahan ke teacher mujhe kasai jaise lagte hai
Jo students ka bhavishya apne haathon mein rakhte hai,
Woh kehte hai college mein padne ki zaroorat nahi,
fir kyun har baat mere CG pe aa jaati hai,
9 pointer kehta hai ki main us jaisa nahi,
fir kyun mujh jaisa woh lagta hai
Main qaidi number 115 engineering college ki salakhon se bahar dekhta hoon ,
Coaching mein padte bachhon ko dekhta hoon,
Kehte hai khud ko student aur mujhe engineer bulate hai,
Engineering ka soch ke kyun apni zindagi doobate hai,
Unhe dekh kar fir se us samay mein jaane ka mann karta hai,
Woh ek samay tha jab kuchh kar dikhane ka mann karta hai,
Main Qaidi number 115 engineering college ki salakhon se bahar dekhta hoon,
Umeed ke rangon mein lipte ek engineer ko dekhta hoon,
Maa baap ke khwabon ko poora karte , khud ke khwab bhool chuka hai woh,
Physics,chem aur maths padte padte,
jeena chhod chuka hai woh,
Hostel mein masti karne ka jee karta hai,
Hostel ke liye toh ek aur zindagi jeene ko jee karta hai,
Woh kehte hai yahan se jaane se pehle tumhari naukri lag jaayegi,
Phir kyun mujhe koi khushi nahi jab ke ek badi tankhah ghar aayegi,
Main qaidi number 115 engineering college ki salakhon se bahar dekhta hoon .....